maut se yaarī na thī hastī se be-zārī na thī
us safar par chal diye ham jis kī tayyārī na thī
ham usī kī ḳhaak se uTThe haiñ kundan ban ke aaj
dosto jis shahar meñ rasm-e-vafādārī na thī
ham ne ḳhūn-e-ārzū de kar munaqqash kar diyā
varna dīvār-e-talab par aisī gul-kārī na thī
mar ga.e sar phoḌ ke dīvār-e-zindāñ se asiir
zindagī kunj-e-qafas meñ maut se pyārī na thī
ab shikast-e-ārzū hai bā.is-e-taskīn-e-dil
is se pahle to kabhī ye kaifiyat taarī na thī
jal rahā hai har nafs ab apne ġham kī aañch se
saañs lene meñ kabhī 'mohsin' ye dushvārī na thī