mire vajūd ke dozaḳh ko sard kar degā
agar vo abr-e-karam hai to khul ke barsegā
gila na kar ki hai āġhāz-e-shab abhī pyāre
Dhalegī raat to ye dard aur chamkegā
qadah kī ḳhair sunāo ki ab ke bārish-e-sañg
agar huī to tarab-zār-e-shab bhī Dūbegā
ye shahr-e-kam-nazarāñ hai idhar na kar āñkheñ
yahāñ ishāra-e-mizhgāñ koī na samjhegā
maiñ us badan meñ utar jā.ūñgā nashe kī tarah
vo ek baar agar phir palaT ke dekhegā
ravāñ to huuñ sū-e-aflāk-e-ārzū lekin
ye zor-e-mauj-e-havā bāzuoñ ko toḌegā
agar hai shauq-e-asīrī to muuñd le āñkheñ
tū umr bhar dar-o-dīvār bhī na dekhegā
talāsh-e-qāfila-e-zindagī hai ab be-sūd
ye rah-guzār-e-nafas par kahīñ na Thahregā
na aañkh meñ koī jumbish na paañv par koī gard
jahāñ se itnā bhī mohtāt kaun guzregā
rahegī dil meñ na jab koī bhī ḳhalish 'mohsin'
bhulā chukā hai jise tū use pukāregā