libās tan pe salāmat haiñ haath ḳhālī haiñ
ham ek mulk-e-ḳhudā-dād ke savālī haiñ
na ham meñ aql-o-farāsat na hikmat-o-tadbīr
magar hai zo.am ki jam.iyyat-e-misālī haiñ
munāfiqat ne lahū tan meñ itnā garmāyā
ki guftugū meñ riyā-kāriyāñ sajā lī haiñ
ḳhud apne aap se kad is qadar hameñ hai ki ab
rivāyateñ hī gulistāñ kī phūñk Daalī haiñ
hamāre dil haiñ ab āmāj-gāh-e-hirs-o-havas
ki ham ne sīnoñ meñ tārīkiyāñ ugā lī haiñ
nashemanoñ ko ujāḌā kuchh is tarah jaise
ki fāḳhtā.eñ daraḳhtoñ se uḌne vaalī haiñ
kisī ġharīb apāhij faqīr kī 'mohsin'
kisī amiir ne baisākhiyāñ churā lī haiñ