malāl-e-hijr nahīñ ranj-e-be-ruḳhī bhī nahīñ
ki e'tibār ke qābil to zindagī bhī nahīñ
karūñ maiñ ḳhūn-e-tamannā kā kis liye mātam
mire liye ye musībat koī na.ī bhī nahīñ
maiñ phir bhī shām-o-sahar be-qarār rahtā huuñ
agarche ghar meñ kisī chiiz kī kamī bhī nahīñ
mujhe ḳhabar hai ki anjām-e-vasl kyā hogā
isī liye tire milne kī kuchh ḳhushī bhī nahīñ
vahī hai sab kī nigāhoñ kī tanz kā markaz
vo jis makān kī khiḌkī kabhī khulī bhī nahīñ
hue vo log hī shab ke safar pe āmāda
vo jin ke paas asad koī raushnī bhī nahīñ