Ehteram Islam

hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya

Ehteram Islam

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1949
hādsoñ kā silsila manzar-ba-manzar jam gayā
har kisī ke dhaḌ pe ik fir.aun kā sar jam gayā
ḳhaak kī kashtī tale sone kā sāġhar jam gayā
dīda-e-be-ḳhvāb meñ ḳhvāb-e-sikandar jam gayā
mausamoñ ke biich kī duurī kā andāza lagāo
bah ga.e parbat pighal kar aur samundar jam gayā
laḌkhaḌā kar gir paḌī ūñchī imārat daf.atan
daf.atan ta.amīr kī kursī pe khañDar jam gayā
rif.at-e-charḳh-e-barīñ mahdūd ho kar rah ga.ī
jab saroñ par dhuñd kā saffāk lashkar jam gayā
dīda-e-gurba se kyā phūTī shuā-e-jāñ-guzā
phaḌphaḌāyā tak nahīñ zinda kabūtar jam gayā
ahl-e-duniyā se mujhe to koī andesha na thā
naam terā kis liye mire laboñ par jam gayā
Top Urdushayar.com