bazm-e-tanhā.ī meñ aks-e-sho.ala-paikar thā koī
yā hamāre sāmne yādoñ kā lashkar thā koī
qurbatoñ ke ghaaT par sūkhī nadī sābit huā
fāsloñ ke dasht meñ gahrā samundar thā koī
us kī saarī iltijā.eñ hukm Thahrā.ī ga.iiñ
jis ghaḌī dekhā gayā jaame se bāhar thā koī
devtā hai ab vahī mandir ke aasan par jamā
Thokareñ khātā huā raste kā patthar thā koī
us kī ḳhvāhish thī ki sat.h-e-āb par chal kar dikhā.e
kyā muqaddar thā ki dariyā kā muqaddar thā koī
karb apne baune-pan kā jheltā huuñ aaj tak
soch ubhrī thī bujhī mere barābar thā koī
sāmne us ke agar sūraj nahīñ thā 'ehtirām'
paanī paanī āḳhirash kyuuñ sho.ala-paikar thā koī