surḳh mausam kī kahānī hai purānī ho na ho
āsmāñ kā rañg aage āsmānī ho na ho
ḳhvāb meñ mujh ko nazar aatī haiñ bhīgī sīpiyāñ
aañkh khulne par tirī āñkhoñ meñ paanī ho na ho
saath hotī hai mire har gaam par sanjīdgī
ho rahī hai duur ab mujh se javānī ho na ho
har jagah niklegī terī baat mujh ko dekh kar
tazkira terā kahīñ merī zabānī ho na ho
raushnī dete raheñge mujh ko zaḳhmoñ ke charāg
ab añdhere meñ kahīñ se zau-fishānī ho na ho
ik taraf merī anā hai ik taraf terī ḳhushī
aa gayā mere liye pal imtihānī ho na ho
zahr kā paanī meñ honā tai-shuda hai 'ehtirām'
āgahī ke ghaaT par dariyā meñ paanī ho na ho