tauqīr añdheroñ kī baḌhā dī ga.ī shāyad
ik sham.a jo raushan thī bujhā dī ga.ī shāyad
phir dar-badarī hone lagī us kā muqaddar
phir shauq ke sho.aloñ ko havā dī ga.ī shāyad
mauhūm nazar aatā hai ab josh-e-mulāqāt
kuchh garmi-e-ehsās ghaTā dī ga.ī shāyad
is baar bhī sho.aloñ ne machā Daalī tabāhī
is baar bhī sho.aloñ ko havā dī ga.ī shāyad
Tiktīñ nahīñ duniyā-e-haqīqat pe nigāheñ
ḳhvāboñ kī koī bazm sajā dī ga.ī shāyad
aa Thahrī thī jo zabt ke asrār se bach kar
āñkhoñ se vahī buuñd girā dī ga.ī shāyad
qātil ko biThāyā gayā sar par mire hote
mujh ko merī auqāt batā dī ga.ī shāyad