Ehteram Islam

muntashir har shai qarine se saja di jaegi

Ehteram Islam

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1949
muntashir har shai qarīne se sajā dī jā.egī
yā mire kamre kī shaḳhsiyyat miTā dī jā.egī
saath rakhiye kaam aa.egā bahut nām-e-ḳhudā
ḳhauf gar jaagā to phir kis ko sadā dī jā.egī
aag bhaḌkegī havā pā kar baḌā sach ye nahīñ
sach baḌā ye hai ki sho.aloñ ko havā dī jā.egī
be-Thikāna yuuñ kiyā jā.egā ik jaltā charāġh
tāqche meñ mom kī guḌiyā biThā dī jā.egī
aa.ina hālāt kā aa.egā jo bhī dekhne
koī umda sī ġhazal us ko sunā dī jā.egī
bolne par koī pābandī nahīñ kuchh boliye
haañ magar āvāz uTThegī dabā dī jā.egī
sar-ba-kaf ho jā.eñge pīr-o-javāñ sab dekhnā
desh kī ḳhātir matā-e-jāñ luTā dī jā.egī
ġhair-mumkin kuchh nahīñ duniyā meñ lekin 'ehtirām'
aap kī sohbat bhalā kaise bhulā dī jā.egī
Top Urdushayar.com