Ehteram Islam

DhunD saya na shajar aage bhi

Ehteram Islam

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1949
DhūñD saaya na shajar aage bhī
tai jo karnā hai safar aage bhī
yūñhī shamshīroñ ko lalkāregā
rah gayā dhaḌ pe jo sar aage bhī
duur tak naam nahīñ saa.e kā
haiñ to pīchhe bhī shajar aage bhī
kyuuñ sitamgar ko sitamgar bolo
zinda rahnā hai agar aage bhī
roktā kaun safar kis dil se
thī murādoñ kī Dagar aage bhī
dā.ere TuuT na paa.e varna
jā to saktī thī nazar aage bhī
kyā ḳhushāmad se jhaTaknā dāman
kaam degā ye hunar aage bhī
sau janm le ke jahāñ pahuñchā huuñ
mujh ko jaanā hai magar aage bhī
sher ke ruup meñ dete rahnā
'ehtirām' apnī ḳhabar aage bhī
Top Urdushayar.com