Ehteram Islam

ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun

Ehteram Islam

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1949
ġhaiz kā sūraj thā sar par sach ko sach kahtā to kaun
raas aatā kis ko mahshar sach ko sach kahtā to kaun
sab ne paḌh rakkhā thā sach kī jiit hotī hai magar
thā bharosa kis ko sach par sach ko sach kahtā to kaun
maan rakhtā kaun vish kā kaun apnātā salīb
koī iisā thā na shañkar sach ko sach kahtā to kaun
thā kisī kā bhī na maqsad sach ko jhuTlānā magar
muñh meñ rakh kar luqma-e-tar sach ko sach kahtā to kaun
aadmī to ḳhair se bastī meñ milte hī na the
devtā the so the patthar sach ko sach kahtā to kaun
sab haqīqat meñ ubhartā jab bhī sach lagtā na thā
ḳhvāb meñ hote ujāgar sach ko sach kahtā to kaun
yaad thā 'suqrāt' kā qissa sabhī ko 'ehtirām'
sochiye aise meñ baḌh kar sach ko sach kahtā to kaun
Top Urdushayar.com