sho.ala shamīm-e-zulf se aage baḌhā nahīñ
sahrā kī jaltī ret meñ ThanDī havā nahīñ
piile badan meñ niilī rageñ sard ho ga.iiñ
ḳhuuñ barf ho gayā hai koī rāsta nahīñ
us ke makāñ kī chhat pe sulagne lagī hai dhuup
kamre se apne raat kā Derā uThā nahīñ
bādal lipaT ke so ga.e sūraj ke jism se
dariyā ke ghar meñ aaj bhī chūlhā jalā nahīñ
ḳhāmosh kyuuñ khaḌe ho mazāroñ ke shahr meñ
be-jān pattharoñ ne to kuchh bhī kahā nahīñ