Rasheed Afroz

tanhaiyon ke dard se rista hua lahu

Rasheed Afroz

tanhā.iyoñ ke dard se ristā huā lahū
dīvār-o-dar udaas haiñ har shai hai zard-rū
ḳhāmoshiyoñ meñ Duub ga.ī zindagī kī shaam
āvāz de ke jaane kahāñ chhup gayā hai tū
āñkhoñ meñ jāgtī hī rahī niiñd raat bhar
chaltī rahī ḳhayāl ke sahrā meñ garm lū
sāhil pe Dūbne lagī āb-e-ravāñ kī lau
barpā thā zard ret kā tūfān chār-sū
vaadī meñ nīlgūñ sā dhuāñ reñgne lagā
ghabrā ke dam na toḌ de jhīloñ meñ justujū
muddat ke ba.ad lauT ke aayā jab apne ghar
ik aks aa.ine meñ ye kahne lagā ki tū
Top Urdushayar.com