Hameeda Moeen Rizvi

dhaDkan mein dil ki KHud ko jo tashkil kar gaya

Hameeda Moeen Rizvi

dhaḌkan meñ dil kī ḳhud ko jo tashkīl kar gayā
har zāviya nigāh kā tabdīl kar gayā
mere baġhair jis ko thā jiinā muhāl kyoñ
tanhā masāfatoñ kī vo takmīl kar gayā
jis ko masarratoñ kī duā.eñ diiñ umr bhar
dukh kī kitāb vo mujhe tarsīl kar gayā
dasht-e-vafā meñ paañv ke chhāloñ kā kyā shumār
thā azm sañglāḳh ko tahlīl kar gayā
sochā thā apne dil kā bhī ahvāl kuchh kaheñ
chehra bayān dard kī tafsīl kar gayā
guzrā hai haq ke vāste dār-o-rasan se jo
jhūTe ḳhudāoñ kī vahī tazlīl kar gayā
manzar kuchh aise ḳhūñ-chakāñ aa.e nigāh meñ
jaise ki dard ko koī tamsīl kar gayā
Top Urdushayar.com