hote hoñge is duniyā meñ arsh ke da.avedār buland
pastī ke ham rahne vaale nikle āḳhir-e-kār buland
ek taraf ho tum afsurda ek taraf ham āzurda
aur chaman ko bāñTo yaaro aur karo dīvār buland
kab zid kī hai ham ne tum se apnī ūñchī hastī kī
kaisī bahs taqāzā kaisā tum ho ham se yaar buland
le aa.ī majbūrī ham ko aaj parā.ī mahfil meñ
aur tamāsha dekh rahe haiñ ho ho kar aġhyār buland
shā.er aur takabbur meñ kyā rishta in meñ nisbat kyā
shahr-e-suḳhan meñ rakhiye apne sar ko ḳham me.aar buland
izzat-afzā.ī hai be-shak baat muqaddar kī 'in.ām'
varna qudrat ne rakkhe haiñ phūloñ se bhī ḳhaar buland