āsūda-e-matā-e-karam bolte nahīñ
ya.anī amīn-e-daulat-e-ġham bolte nahīñ
vāraftagān-e-ijz kā aalam hai dīdanī
sar hai dar-e-niyāz pe ḳham bolte nahīñ
kyuuñ bārgāh-e-nāz meñ taarī hai ḳhāmushī
kyā sākinān-e-bāġh-e-iram bolte nahīñ
shikva-tarāz jabr-e-mohabbat haiñ bul-havas
ahl-e-vafā ḳhudā kī qasam bolte nahīñ
kis din thā imtihān-e-vafā se mujhe gurez
kab Dagmagā.e mere qadam bolte nahīñ
hai sharh-e-karb-e-zīst kā ashkoñ pe inhisār
lekin ye tarjumān-e-alam bolte nahīñ
'in.ām' zulm-o-jaur musalsal ke bāvajūd
ham haiñ fidā-e-lazzat-e-ġham bolte nahīñ