inaam Hanafi

har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo

inaam Hanafi

har samt se uThtā hai dhuāñ shahr ke logo
ye shahr to thā shahr-e-amāñ shahr ke logo
dīvāngī-e-ahl-e-ḳhirad pahuñchī yahāñ tak
har shaḳhs kā chehra hai dhuāñ shahr ke logo
rif.at kise miltī hai farāvānī-e-zar se
kirdār se ho faḳhr-e-zamāñ shahr ke logo
le aa.ī yahāñ tak hameñ kirdār kī pastī
azmat hai na azmat ke nishāñ shahr ke logo
parvarda-e-īmān-o-yaqīñ hote hue bhī
ye vasvasa-e-vahm-o-gumāñ shahr ke logo
pheñko na ḳhamoshī pe mirī tanz ke patthar
ab bhī hai mire muñh meñ zabāñ shahr ke logo
patthar kī chaTānoñ se rukā hai na rukegā
'in.ām' hai ik jū-e-ravāñ shahr ke logo
Top Urdushayar.com