tū bhī vahāñ nahīñ mohabbat jahāñ nahīñ
har āstān-e-husn tirā āstāñ nahīñ
ulfat kī thiiñ dalīl tirī bad-gumāniyāñ
ab bad-gumān maiñ huuñ ki tū bad-gumāñ nahīñ
dilkash hai gulsitāñ bhī tire husn kī tarah
lekin tirī adā kī tarah dil-sitāñ nahīñ
nemat milī hai tum ko javānī kī dosto
afsos hai ki azm tumhārā javāñ nahīñ
kyūñkar kahūñ ki log haiñ sū-e-adm-e-ravāñ
is kārvāñ meñ gard-e-pas-e-kārvāñ nahīñ
hai be-niyāz-e-shādī-o-ġham merī be-ḳhudī
ye vo chaman hai jis meñ bahār o ḳhizāñ nahīñ
nādim mirā sukūt ki hai qalb-sog-vār
duniyā samajh rahī hai ḳhamoshī fuġhāñ nahīñ