azal se bāda-e-hastī kī arzānī nahīñ jaatī
is arzānī pe bhī us kī farāvānī nahīñ jaatī
hujūm-e-rañj-o-ġham ne is qadar mujh ko rulāyā hai
ki ab rāhat kī sūrat mujh se pahchānī nahīñ jaatī
huī thī ik ḳhatā sarzad so us ko muddateñ guzrīñ
magar ab tak mire dil se pashemānī nahīñ jaatī
chaman-zār-e-tamannā kā faqat ik phuul murjhāyā
usī din se mire gulshan kī vīrānī nahīñ jaatī
mire ashkoñ se kyā nisbat tumheñ ai anjum-e-gardūñ
ki un kī roz-e-raushan meñ bhī tābānī nahīñ jaatī
mirī vahshat meñ shāyad aa chale andāz-e-ra.anā.ī
ki zulfoñ kī tarah dil kī pareshānī nahīñ jaatī