fart-e-alam se aah kiye jā rahā huuñ maiñ
ai ishq kyā gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
maqbūl hoñge dahr meñ dāġh-e-jigar mire
un ko charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
rañj o alam kā lutf uThāne ke vāste
rāhat se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
gulzār-e-kām-rānī o duniyā-e-ārzū
āmāl se tabāh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh ko atā huā thā dil-e-ā.inā-jamāl
sad haif use siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ
ġham kah rahā hai kaun hai mujhe se sivā aziiz
sab ke diloñ meñ raah kiye jā rahā huuñ maiñ