is tamāshe kā sabab varna kahāñ baaqī hai
ab bhī kuchh log haiñ zinda ki jahāñ baaqī hai
ahl-e-sahrā bhī baḌhe aate haiñ shahroñ kī taraf
saañs lene ko jahāñ sirf dhuāñ baaqī hai
zindagī umr ke us moḌ pe pahuñchī hai jahāñ
suud nāpaid hai ehsās-e-ziyāñ baaqī hai
DhūñDhtī rahtī hai har lamha nigāh-e-dahshat
aur kis shahr-e-mohabbat meñ amaañ baaqī hai
maiñ kabhī suud kā qaa.il bhī nahīñ thā lekin
zindagī aur batā kitnā ziyāñ baaqī hai
maar kar bhī mire qātil ko tasallī na huī
maiñ huā ḳhatm to kyuuñ nām-o-nishāñ baaqī hai
aisī ḳhushiyāñ to kitāboñ meñ mileñgī shāyad
ḳhatm ab ghar kā tasavvur hai makāñ baaqī hai
laakh 'āzar' raheñ tajdīd-e-ġhazal se lipTe
aaj bhī 'mīr' kā andāz-e-bayāñ baaqī hai