sabab thī fitrat-e-insāñ ḳharāb mausam kā
farishte jhel rahe haiñ azaab mausam kā
vo tishna-lab bhī fareb-e-nazar meñ aa.egā
use bhī DhūñD hī legā sarāb mausam kā
daraḳht yuuñ hī agar sabz sabz kaTte rahe
badal na jaa.e zamīñ par nisāb mausam kā
maiñ jis meñ rah na sakā jī-huzūriyoñ ke sabab
ye aadmī hai usī kāmyāb mausam kā
isī umiid meñ juuhī se bhar gayā āñgan
ki khilne vaalā hai ab ke gulāb mausam kā
bahār ho ga.ī phir apne-āp sharminda
kiyā thā dil ne bhī vo intiḳhāb mausam kā
khulīñ jo niiñd se āñhkeñ hamārī yaañ 'āzar'
guzar chukā thā zamāna bhī ḳhvāb mausam kā