isī futūr meñ karb-o-balā se lipTe hue
tamām umr gañvā dī anā se lipTe hue
abhī bhī mil na sakī in kī ḳhāmushī ko zabāñ
ye log ab bhī haiñ saut-o-sadā se lipTe hue
havā ke shahr meñ bas saañs lene aate haiñ
vagarna ahl-e-zamīñ haiñ ḳhalā se lipTe hue
har ek samt lagā hai ḳhamoshiyoñ kā hujūm
ye kaun log haiñ koh-e-nidā se lipTe hue
hañsī bhī aatī hai in par taras bhī aatā hai
ye nafratoñ ke pujārī ḳhudā se lipTe hue
ham ibtidā hī meñ pahuñche the intihā ko kabhī
ab intihā meñ bhī haiñ ibtidā se lipTe hue
maiñ zindagī ke masā.il se laḌnā chāhtā huuñ
magar vo haath nigār-e-hinā se lipTe hue
vagarna ḳhatm na hotā gahan kabhī 'āzar'
añdhere ḳhauf-zada the ziyā se lipTe hue