paḌā thā likhnā mujhe ḳhud hī marsiya merā
ki mere ba.ad bhalā aur kaun thā merā
ajiib taur kī mujh ko sazā sunā.ī ga.ī
badan ke neze pe sar rakh diyā gayā merā
yahī ki saañs bhī lene na degī ab mujh ko
ziyāda aur bigāḌegī kyā havā merā
maiñ apnī ruuh liye dar-ba-dar bhaTaktā rahā
badan se duur mukammal vajūd thā merā
mire safar ko to sadiyāñ guzar ga.iiñ lekin
falak pe ab bhī hai qaa.em nishān-e-pā merā
bas ek baar milā thā mujhe kahīñ 'āzar'
banā gayā vo mujhī ko mujassama merā