surāġh bhī na mile ajnabī sadā ke mujhe
ye kaun chhup gayā sahrāoñ meñ bulā ke mujhe
maiñ us kī bātoñ meñ ġham apnā bhuul jaatā magar
vo shaḳhs rone lagā ḳhud hañsā hañsā ke mujhe
use yaqīn ki maiñ jaan de na pā.ūñgā
mujhe ye ḳhauf ki ro.egā aazmā ke mujhe
jo duur rah ke uḌātā rahā mazāq mirā
qarīb aayā to royā gale lagā ke mujhe
maiñ apnī qabr meñ mahv-e-azāb thā lekin
zamāna ḳhush huā dīvāroñ par sajā ke mujhe
yahāñ kisī ko koī pūchhtā nahīñ 'āzar'
kahāñ pe laa.ī hai andhī havā uḌā ke mujhe