ye haiñ tairāk magar haal ye in ke dekhe
ġharq hote hue tūfān meñ tinke dekhe
chhīn lete haiñ jo insān se ehsās-e-nazar
vo añdhere kisī shab ke nahīñ din ke dekhe
aa gayā yaad unheñ apne kisī ġham kā hisāb
hañsne vāloñ ne mire ashk jo gin ke dekhe
vo ajab shaan kā ghar hai ki jahāñ par sab log
ek hī shakl ke aur ek hī sin ke dekhe
ye ġhalat hai ki ridā le ke sitamgaroñ ne
un ke muñh dekh liye paañv na jin ke dekhe