jab na aane kī qasam aap ne khā rakkhī thī
maiñ ne phir kis ke liye sham.a jalā rakkhī thī
rakh diyā un ko bhī jholī meñ sitamgāroñ kī
maiñ ne jin hāthoñ se buniyād-e-vafā rakkhī thī
jāntā kaun bhalā kaise kisī ke hālāt
vaqt ne biich meñ dīvār uThā rakkhī thī
is liye chal na sakā koī bhī ḳhanjar mujh par
merī shah-rag pe mirī maañ kī duā rakkhī thī
kis liye mujh ko na suulī pe chaḌhāyā jaatā
munsifoñ ne ye mire sach kī sazā rakkhī thī