maiñ ek qarz huuñ sar se utaar de mujh ko
lagā ke daañv pe ik roz haar de mujh ko
bikhar chukā huuñ ġham-e-zindagī ke shānoñ par
ab apnī zulf kī sūrat sañvār de mujh ko
hazār chehre ubharte haiñ mujh meñ tere sivā
maiñ aa.ina huuñ to gard-o-ġhubār de mujh ko
kisī ne haath baḌhāyā hai dostī ke liye
phir ek baar ḳhudā e'tibār de mujh ko
maiñ bhuuk pyaas ke sahrā meñ ab bhī zinda huuñ
javāharāt kī kirnoñ se maar de mujh ko