Nazeer Baaqri

apni aankhon ke samundar mein utar jaane de

Nazeer Baaqri

Sambhal, Uttar pradesh, India

apnī āñkhoñ ke samundar meñ utar jaane de
terā mujrim huuñ mujhe Duub ke mar jaane de
ai na.e dost maiñ samjhūñgā tujhe bhī apnā
pahle maazī kā koī zaḳhm to bhar jaane de
zaḳhm kitne tirī chāhat se mile haiñ mujh ko
sochtā huuñ ki kahūñ tujh se magar jaane de
aag duniyā kī lagā.ī huī bujh jā.egī
koī aañsū mire dāman pe bikhar jaane de
saath chalnā hai to phir chhoḌ de saarī duniyā
chal na paa.e to mujhe lauT ke ghar jaane de
zindagī maiñ ne ise kaise piroyā thā na soch
haar TuuTā hai to motī bhī bikhar jaane de
in añdheroñ se hī sūraj kabhī niklegā 'nazīr'
raat ke saa.e zarā aur nikhar jaane de
Top Urdushayar.com