Nazeer Baaqri

kaun pahchane mujhe shab bhar to KHatron mein raha

Nazeer Baaqri

Sambhal, Uttar pradesh, India

kaun pahchāne mujhe shab bhar to ḳhatroñ meñ rahā
vo añdherā huuñ jo din bhar band kamroñ meñ rahā
sab kī nazreñ roz paḌtī thiiñ koī paḌhtā na thā
maiñ to har aḳhbār kī gumnām ḳhabroñ meñ rahā
maiñ ne duniyā chhoḌ dī lekin mirā murda badan
ek uljhan kī tarah qātil kī nazroñ meñ rahā
aaj kā insān chādar oḌh kar ehsās kī
zindagī ke shahr meñ jī kar bhī qabroñ meñ rahā
vaqt ne qatroñ ko samjhā hai samundar kī tarah
jo samundar thā hamesha chand qatroñ meñ rahā
jis ko baḳhshā hai ḳhudā ne fikr kā jazba 'nazīr'
vo purānī aur na.ī saarī hī qadroñ meñ rahā
Top Urdushayar.com