yaad nahīñ kyā kyā dekhā thā saare manzar bhuul ga.e
us kī galiyoñ se jab lauTe apnā bhī ghar bhuul ga.e
ḳhuub ga.e pardes ke apne dīvār-o-dar bhuul ga.e
shīsh-mahal ne aisā gherā miTTī ke ghar bhuul ga.e
tujh ko bhī jab apnī qasmeñ apne va.ade yaad nahīñ
ham bhī apne ḳhvāb tirī āñkhoñ meñ rakh kar bhuul ga.e
mujh ko jinhoñne qatl kiyā hai koī unheñ batlā.e 'nazīr'
merī laash ke pahlū meñ vo apnā ḳhanjar bhuul ga.e