Tousief Tabish

kuchh ne aankhen kuchh ne chehra dekha hai

Tousief Tabish

Jammu and Kashmir, India

1989
kuchh ne āñkheñ kuchh ne chehra dekhā hai
sab ne tujh ko thoḌā thoḌā dekhā hai
tum par pyaas ke ma.anī khulne vaale nahīñ
tum ne paanī pī kar dariyā dekhā hai
jin hāthoñ ko chūmne aa jaate the log
aaj unhīñ hāthoñ meñ kaasa dekhā hai
rotī āñkheñ ye sun kar ḳhāmosh huiiñ
malbe meñ ik shaḳhs ko zinda dekhā hai
baabā bolā merī qismat achchhī hai
us ne shāyad haath tumhārā dekhā hai
lagtā hai maiñ pyaas se marne vaalā huuñ
maiñ ne kal shab ḳhvāb meñ sahrā dekhā hai
andhī duniyā ko maiñ kaise samjhā.ūñ
in āñkhoñ se maiñ ne kyā kyā dekhā hai
qaidī raat ko bhāgne vaalā hai 'tābish'
us ne ḳhvāb meñ ḳhufiya rasta dekhā hai
Top Urdushayar.com