zindagī silsila-e-vahm-o-gumāñ hai yaaro
dil-e-betāb ko taskīn kahāñ hai yaaro
vahī sayyād kī ghāteñ haiñ vahī kunj-e-qafas
fasl-e-gul rehn-e-ġham-e-jaur-e-ḳhizāñ hai yaaro
vahī afkār kī uljhan vahī māhaul kā jabr
zehn pā-basta-e-zanjīr-e-girāñ hai yaaro
vahī hasrat vahī lab aur vahī mohar-e-sukūt
shauq ko jur.at-e-iz.hār kahāñ hai yaaro
azm kī rah bhī vahī raah meñ kāñTe bhī vahī
duur kosoñ marī manzil kā nishāñ hai yaaro
bevafā.ī kā ḳhudārā mujhe ilzām na do
tum pe hāl-e-dil-e-betāb ayaañ hai yaaro
kaash maiñ kah bhī sakūñ kaash koī sun bhī sake
aah vo raaz ki jo rāz-e-nihāñ hai yaaro
mere hoñToñ pe hai ik naġhma-e-be-saut-o-sadā
dil meñ ik mahshar-e-fariyād-o-fuġhāñ hai yaaro
ik taġhāful ki jo hai vaj.h-e-pareshānī-e-dil
ek yaad in kī hai jo rāhat-e-jāñ hai yaaro
aaj sāhil ke qarīñ Dūbne vaalā hai 'majīd'
nāḳhudā ko to pukāro vo kahāñ hai yaaro