Majeed Lahori

ek nau-bahaar-e-naz ko mehman karenge hum

Majeed Lahori

Gujarat, India

1913-1957
ik nau-bahār-e-nāz ko mehmāñ kareñge ham
har dāġh-e-dil ko rashk-e-gulistāñ kareñge ham
sāġhar meñ nūr-e-dīda-e-anjum uñDel kar
phir tīrgī-e-ġham meñ charāġhāñ kareñge ham
uḌ jā.eñgī fazā meñ bahāroñ kī dhajjiyāñ
jis vaqt taar taar garebāñ kareñge ham
kahte haiñ āsmāñ pe vo zulfeñ bikher kar
jhulsī huī zamīn pe ehsāñ kareñge ham
jī bhar ke ham ko kar le pareshān āsmāñ
ik roz āsmāñ ko pareshāñ kareñge ham
ai vaqt san ki aa.egā jab bhī hamārā vaqt
tūfāñ ko mauj mauj ko tūfāñ kareñge ham
jab tak hamāre sāmne jām-e-sharāb hai
barham mizāj-e-gardish-e-daurāñ kareñge ham
vo aarzū ki dil se zabāñ tak na aa sake
kuchh is kā tazkira bhī mirī jaañ kareñge ham
duur ḳhizāñ se koī kahe jā ke a 'majīd'
phir ehtimām-e-jashn-e-bahārāñ kareñge ham
Top Urdushayar.com