jahāñ ko chhoḌ diyā thā jahāñ ne yaad kiyā
bichhaḌ ga.e to bahut kārvāñ ne yaad kiyā
milā nahīñ use shāyad koī sitam ke liye
zah-e-nasīb mujhe āsmāñ ne yaad kiyā
vo ek dal jo kaḌī dhuup meñ jhulastā thā
use bhī sāya-e-zulf-e-butāñ ne yaad kiyā
panāh mil na sakī un ko tere dāman meñ
vo ashk jin ko mah-o-kahkashāñ ne yaad kiyā
ḳhayāl ham ko bhī kuchh āshiyāñ kā thā lekin
qafas meñ ham ko bahut āshiyāñ ne yaad kiyā
hamāre ba.ad bahā.e kisī ne kab aañsū
ham ahl-e-dard ko abr-e-ravāñ ne yaad kiyā
ġham-e-zamāna se fursat nahīñ magar phir bhī
'majīd' chal tujhe pīr-e-muġhāñ ne yaad kiyā