aa.ine ke rū-ba-rū ik aa.ina rakhtā huuñ maiñ
rāt-din hairat meñ ḳhud ko mubtalā rakhtā huuñ maiñ
dostoñ vaalī bhī ik ḳhūbī hai un meñ is liye
dushmanoñ se bhī musalsal rābta rakhtā huuñ maiñ
roz-o-shab maiñ ghūmtā huuñ vaqt kī pur-kār par
apne chāroñ samt koī dā.era rakhtā huuñ maiñ
khaTkhaTāne kī bhī zahmat koī āḳhir kyuuñ kare
is liye bhī ghar kā darvāza khulā rakhtā huuñ maiñ
āj-kal ḳhud se bhī hai ranjish kā koī silsila
āj-kal ḳhud se bhī thoḌā fāsla rakhtā huuñ maiñ
chand yādeñ ek chehra ek ḳhvāhish ek ḳhvāb
apne dil meñ aur kyā un ke sivā rakhtā huuñ maiñ
chand tasvīreñ kitābeñ ḳhushbueñ aur ek phuul
apnī almārī meñ 'tābish' aur kyā rakhtā huuñ maiñ