kyuuñ asīr-e-gesū-e-ḳham-dār-e-qātil ho gayā
haa.e kyā baiThe-biThā.e tujh ko ai dil ho gayā
koī nālāñ koī giryāñ koī bismil ho gayā
us ke uThte hī digar-gūñ rañg-e-mahfil ho gayā
intizār us gul kā is darja kyā gulzār meñ
nuur āḳhir dīda-e-nargis kā zaa.il ho gayā
us ne talvāreñ lagā.īñ aise kuchh andāz se
dil kā har armāñ fidā-e-dast-e-qātil ho gayā
qais-e-majnūñ kā tasavvur baḌh gayā jab najd meñ
har bagūla dasht kā lailā-e-mahmil ho gayā
ye bhī qaidī ho gayā āḳhir kamand-e-zulf kā
le asīroñ meñ tire 'āzād' shāmil ho gayā