rakkhī thī tasvīr tumhārī āñkhoñ meñ
ham ne saarī raat guzārī āñkhoñ meñ
bindiyā, chūḌī, gajrā, kañgan ek taraf
sab par bhārī kājal dhārī āñkhoñ meñ
mamtā ke pahlū meñ pahlī pahlī niiñd
pahlā pahlā ḳhvāb kuñvārī āñkhoñ meñ
raat huī to saare badan meñ phail ga.ī
din bhar jitnī aag utārī āñkhoñ meñ
saarī saarī raat tamāsha chaltā hai
aatā hai jab ḳhvāb madārī āñkhoñ meñ
jīte-jī dhundlā jaa.e nā-mumkin hai
jiine kī ummīd hamārī āñkhoñ meñ
'jāzil' har manzar se hairat chun chun kar
Daal rahā huuñ baarī baarī āñkhoñ meñ