Jeem Jazil

mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal

Jeem Jazil

Sargodha, Punjab, Pakistan

1973
mujhe yaqīn dilā hālat-e-gumāñ se nikāl
ġham-e-hayāt ko baḌhte hue ziyāñ se nikāl
phir is ke ba.ad jahāñ tū kahe guzārūñgā
bas ek baar zarā karb-e-jism-o-jāñ se nikāl
maiñ ain apne hadaf par lagūñgā, shart lagā
zarā sā khīñch mujhe aur phir kamāñ se nikāl
maiñ apne jism ke andar na dafn ho jā.ūñ
mujhe vajūd ke girte hue makāñ se nikāl
maiñ ek sho.ala-e-badmast hī sahī lekin
maiñ jal rahā huuñ mujhe mere darmiyāñ se nikāl
ai Dāliyoñ pe na.e phal ugāne vaalī duā
mire shajar ko bhī is hālat-e-ḳhizāñ se nikāl
bulā rahī hai tujhe bhī havas kī shahzādī
tū apne aap ko is lamha-e-ravāñ se nikāl
jise bahisht meñ aadam ne chakh liyā thā 'atīb'
maiñ khā rahā huuñ vahī phal, mujhe yahāñ se nikāl
Top Urdushayar.com