apnī duniyā ḳhud ba-faiz-e-ġham banā saktā huuñ maiñ
ik jahān-e-shauq-e-nā-mohkam banā saktā huuñ maiñ
merī āñkhoñ meñ haiñ aañsū tere dāman meñ bahār
gul banā saktā hai tū shabnam banā saktā huuñ maiñ
dil ke baaje meñ nahīñ ma.alūm kitne taar haiñ
husn ko ik taar kā mahram banā saktā huuñ maiñ
phir haqīqat kī usī jannat kī jānib lauT kar
bandagī ko laġhzish-e-ādam banā saktā huuñ maiñ
hāsil-e-ashk-e-nadāmat kuchh nahīñ is ke sivā
hai jo dāman tar usī ko nam banā saktā huuñ maiñ
ishq huuñ mere liye pās-e-hudūd-e-hosh kyā
ho ke dīvāna bhī ik aalam banā saktā huuñ maiñ
jis qadar aañsū gire utnā hī insāñ ho sakā
zindagī shāyad ba-qadr-e-ġham banā saktā huuñ maiñ
ḳhud-shanāsī kī sharāb-e-ātishīñ bhar kar 'nushūr'
kāsa-e-muflis ko jām-e-jam banā saktā huuñ maiñ