har rasm par nazar ko jhukāte hue chale
har iḳhtiyār apnā miTāte hue chale
kuchh un pe e'timād hai kuchh apnī zaat par
zo.am-e-fareb yūñhī nibhāte hue chale
kitnī hikāyateñ ki zabāñ tak na aa sakīñ
zanjīr-e-harf un pe sajāte hue chale
un ke mazāq-e-dīd se paa.ī na paa.ī daad
phir bhī harīm-e-shauq basāte hue chale
jo raah jal ga.ī thī haqīqat kī aañch se
ḳhvāboñ ke phuul us pe bichhāte hue chale