Nushur Wahidi

dil-o-dilbar sahi ab KHwab se bedar hain donon

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
dil-o-dilbar sahī ab ḳhvāb se bedār haiñ donoñ
sharīk-e-majlis-e-ārā.ish-e-guftār haiñ donoñ
chaman meñ kyā huā gulchīñ ho bāgul-kār kyā jaane
nazar aatā nahīñ kuchh nargis-e-bīmār haiñ donoñ
nigāh-e-ahl-e-duniyā ho ki chashm-e-nīm-ḳhvāb un kī
kabhī iqrār haiñ donoñ kabhī inkār haiñ donoñ
ibādat-ḳhāna-hā-e-kufr-o-īmāñ meñ gayā lekin
nidā aa.ī ki vāpas jā yahāñ ġhaddār haiñ donoñ
jidhar daulat kī kirneñ haiñ udhar jaatā nahīñ koī
vo āshiq ho ki shā.ir sāya-e-dīvār haiñ donoñ
darūn-e-halqa-e-gañg-o-jaman hai sher kī duniyā
ye dillī lucknow bhī kuchh nahīñ is paar haiñ donoñ
taġhāful kī adā ho yā hukūmat kī adākārī
burā kis ko kahūñ mere liye sarkār haiñ donoñ
Top Urdushayar.com