junūñ ne zahar kā piyāla piyā āhista āhista
ye sho.ala raakh meñ Dhalne lagā āhista āhista
bahut nāzuk haiñ ehsāsāt ham armāñ-parastoñ ke
na ham ko Thes lag jaa.e sabā āhista āhista
bajā sāz-e-vafā lekin zarā dhīme bajā mutrib
bapā hai hashr sā dil meñ sadā āhista āhista
ḳhushī kā ek ek lamha ḳhirāj-e-zīst le legā
ye dil ke TūTne kā silsila āhista āhista
ye kaisā moḌ hai behis zamāna-sāz yā qātil
sulagtī hai tamannā kī chitā āhista āhista