Munawar Khan Ghafil

kyunkar ye tuf-e-ashk se mizhgan mein lagi aag

Munawar Khan Ghafil

kyūñkar ye tuf-e-ashk se mizhgāñ meñ lagī aag
shabnam se kahīñ bhī hai niyastāñ meñ lagī aag
na us se dhuāñ nikle hai na sho.ala uThe hai
ye turfa hamāre dil-e-nālāñ meñ lagī aag
ātish jo hamāre tan-e-pur-dāġh kī bhaḌkī
dāman se bujhā.ī to garebāñ meñ lagī aag
ghar tū ne raqīboñ kā na ai aah jalāyā
phir kyā jo mire kulba-e-ihzāñ meñ lagī aag
shāḳheñ shajar-e-bīd se aahū ne ragaḌ kar
vo sho.ala nikālā ki bayābāñ meñ lagī aag
tāsīr tirī dekh lī ai āh-e-sharar-bār
ik din na kabhī gumbad-e-gardāñ meñ lagī aag
allāh-re garmī-e-mai añgūr kī 'ġhāfil'
ik jaam ko piite hī dil-o-jāñ meñ lagī aag
Top Urdushayar.com