Munawar Khan Ghafil

kis tarah nala kare bulbul chaman ki yaad mein

Munawar Khan Ghafil

kis tarah naala kare bulbul chaman kī yaad meñ
ghis ga.ī us kī zabāñ to shikva-e-sayyād meñ
dād-ḳhvāhoñ kī agar pursish huī roz-e-jazā
sab se pahle ā.eñge ham arsa-e-faryād meñ
kyā lipaT jaa.eñ tirā qāmat samajh kar is ko ham
ye nazākat ye sabāhat hai kahāñ shamshād meñ
kaam māshūqoñ se bhī āshiq ke letā hai ye ishq
kyuuñ na shīrīñ jaan de apnī ġham-e-farhād meñ
dāman-e-dil ai nasīm-e-gulshan-e-jannat na khīñch
lag gayā hai jī hamārā is ḳharāb-ābād meñ
hashr tak bhī khīñch nahīñ sakne kī sūrat yaar kī
gar yūñhī hujjat rahegī mānī-o-bahzād meñ
kūcha-e-jānāñ meñ yaaro kaun suntā hai mirī
mujh se vaañ phirte haiñ lākhoñ daad aur bedād meñ
sher kahnā aap se 'ġhāfil' kabhī aatā nahīñ
umr ik jab tak na khoī ḳhidmat-e-ustād meñ
Top Urdushayar.com