chashm-e-ḳhūñbār sā barse na kabhū paanī ek
abr har chand kare apnā lahū paanī ek
shust-o-shū nāma-e-a.amāl kī jis se ho.e
baras ai abr-e-karam mujh pe vo tū paanī ek
laakh paanī se maiñ dhoyā na chhuTā zaḳhm kā ḳhuun
kaam aayā na mire vaqt-e-rafū paanī ek
aaj tak ashk mirī aañkh se girte haiñ safed
zarf meñ apne ye rakhtā hai subū paanī ek
tā-kamar abr-e-mizha apnā to barsā sau baar
na huā mauj-zanāñ ta-ba-gulū paanī ek
ham tirī chaal se dil kyūñki na hāreñ is ai charḳh
baazī dushvār hai tujh se to adū paanī ek
bāzī-e-murġh meñ bhī haar rahī 'ġhāfil' kī
tujh se jiitā na vo ai arbada-jū paanī ek