nigāh-e-yār ham se aaj be-taqsīr phirtī hai
kisī kī kuchh nahīñ chaltī hai jab taqdīr phirtī hai
muraqqa.a hai mirī āñkhoñ meñ kyā yārān-e-rafta kā
jo nazroñ ke tale har ek kī tasvīr phirtī hai
tirā dīvāna jab se uTh gayā sahrā-e-vahshat se
bagūle kī tarah se DhūñDhtī zanjīr phirtī hai
tirī talvār kā muñh ham se phir jaa.e to phir jaa.e
hamārī aañkh kab qātil tah-e-shamshīr phirtī hai
kabhī to khīñch lā.egī use gor-e-ġharībāñ par
ki muddat se hamārī ḳhaak dāman-gīr phirtī hai
bayāñ kis muñh se ho.e yaar kī shīrīñ-kalāmī kā
zabāñ par apnī ab tak lazzat-e-taqrīr phirtī hai
maqām-e-ishq meñ shāh-o-gadā kā ek rutba hai
zuleḳhā har galī-kūche meñ be-tauqīr phirtī hai
firāqe-e-gul meñ itnā tū abas nālāñ o muztar hai
bahār-e-rafta phir ai bulbul-e-dil-gīr phirtī hai
dar-e-bāb-e-asar tak ek din jaate nahīñ dekhā
ḳhudā jaane kahāñ ye āh-e-be-tāsīr phirtī hai
ḳhudā shāhid hai is kā phir nahīñ miltī nahīñ miltī
tabī.at apnī jis se o but-e-be-pīr phirtī hai
ham us lailā ko dīvāne haiñ ai 'ġhāfil' jo sahrā meñ
baġhal meñ apne majnūñ kī liye tasvīr phirtī hai