Munawar Khan Ghafil

har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub

Munawar Khan Ghafil

har uzv-e-badan ek se hai ek tirā ḳhuub
siine kī safā.ī se hai chehre kī safā ḳhuub
qāsid ke badan par alif-e-zaḳhm lage haiñ
ḳhat kā mire likkhā ye javāb aap ne kyā ḳhuub
āgāh nahīñ hai koī ahvāl se mere
jo mujh pe guzartī hai vo jaane hai ḳhudā ḳhuub
ban ban ke dahan halqa-e-gesū-e-musalsal
luuTe hai tire bosa-e-āriz kā mazā ḳhuub
abtar huā jo sher kahā zulf kā terī
bāñdhā koī mazmūn hinā kā to bañdhā ḳhuub
madfūñ kiyā terī hī galī meñ use āḳhir
paa.ī tire āshiq ne pas-e-marg bhī jā ḳhuub
do-chār hī shab maah to rahtā hai nahufta
muddat huuī dekhā nahīñ vo maah chhupā ḳhuub
sharbat ke evaz sūda-e-almās pilāyā
kī aap ne bīmār-e-mohabbat kī davā ḳhuub
ruk ruk ke jo dam nikle hai mazbūh kā tere
kyā ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār tirā tez na thā ḳhuub
maġhrūr na honā karam-e-yār pe 'ġhāfil'
pā.egā abhī dil ke lagāne kī sazā ḳhuub
Top Urdushayar.com