Munawar Khan Ghafil

tegh-e-pur-KHun wo agar dhoe kanar-e-dariya

Munawar Khan Ghafil

teġh-e-pur-ḳhūñ vo agar dho.e kanār-e-dariyā
ḳhanda-zan rañg-e-chaman par ho bahār-e-dariyā
atash-e-ishq kī lazzat ye milī hai ham ko
jā gireñ aag meñ aur hoñ na dochār-e-dariyā
durra-e-mauj lagātā hai use be-taqsīr
kyuuñ na ho lāsha mirā shikva-guzār-e-dariyā
surḳhī-e-aks-e-shafaq par jo paḌā lab kā gumāñ
la.al-o-yāqūt kiye ham ne nisār-e-dariyā
naḳhl-e-ḳhvāhish jo nahīñ hotā hai is se sarsabz
girya kartā hai mirā ḳhanda ba-kār-e-dariyā
machhliyāñ laḳht-e-jigar bantī haiñ dariyā aañsū
kis gul-e-tar ko huā shauq-e-shikār-e-dariyā
kyā gul-andām koī is meñ nahāyā thā jo aaj
rag-e-gul se haiñ mo.attar ḳhas-o-ḳhār-e-dariyā
kis kī zulf-e-araq-afshāñ kā tasavvur hai unheñ
lipTe hī jaate haiñ bahroñ se jo mār-e-dariyā
sail-e-āfāt meñ tan dete haiñ jo ai 'ġhāfil'
misl-e-ḳhāshāk vo rahte haiñ savār-e-dariyā
Top Urdushayar.com