Nushur Wahidi

hama-girya silk-e-shabnam hama-ashk bazm-e-anjum

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
hama-girya silk-e-shabnam hama-ashk bazm-e-anjum
jo na gul bhī muskurā.e to kahāñ rahe tabassum
na ḳhatā mirī nazar kī na gunah tire karam kā
ki nasīb-e-āshiqāñ hai ye shikast-e-be-tasādum
thī bharī bahār lekin gul-o-bū-e-gul ne samjhā
nigah-e-chaman se chhup kar jo kabhī mile haiñ ham tum
kahīñ barq jagmagā.ī kahīñ phuul muskurā.e
jo tire laboñ ko chhūkar huā muntashir tabassum
koī raah hai mohabbat to hujūm hai javānī
kahīñ paañv Dagmagā.e kahīñ zindagī huī gum
jise ġham se kuchh milā hai vahī ham-nafas hai merā
jo shikasta sāz-e-dil ho to suno mirā tarannum
ye samajh lo zindagī hai safar-e-hazār-jāda
ġham-e-kārvāñ se chhūTe to 'nushūr' kho ga.e tum
Top Urdushayar.com